navazta hai jo sabko
vo dil navaaz hai tu
niyaaz-mand hain sab
aur baniyaaz hai tu
banata hai saare jag
ke bigade kaam
karim saare zamane ka karsaaz hai tu
is shaane karam ka kya kehna-2
dar pe jo swaali aate hain
is shaane karam-------
ik teri kareemi ka sadka-2
vo mann ki muraadein pate hain-2
is shaane karam-------
1parah) khaali na rahi rehmat se teri-2
dukh dard ke maaron ki jholi-2
kya tera karam hai dar pe tere-2
bharti hai hazaron ki jholi---shaane karam ka kya kehna---
2parah) mushkil ko tu asaan bana deta hai-2
har unchai umeed khila deta hai-2
taqdeer se ho jaye jo bhai se juda us bhai ko bhai se mila deta hai
shaane karam ka kya kehna-----
3parah) din raat hai mangton ka faira -2
kya khoob sakhi hai dar tera-2
milti hai karam ki bheekh unhe-2
daman jo yahan faiylate hain
is shaane------
4parah) is dar ki sakhavat kya kahiye-2
pakke rishte teri rehamat se jo ban jaate hain-2
kachhe dhaage se bandhe log chale aate hain-2
tu mila deta hai bichde hue insanon ko
tere andaz-e-karam shaan ye dikhlate hain
is dar ki sakhavat kya kahiye-2
khali na gaya mangta koi-2
mohtaaz yahan jo aate hain-2
vo jholiyan bharke jaate hai
is shaane karam ka lya kehna-