RAHAT FATEH ALI KHAN


Meri Zaat Zarra-e-benishaan Lyrics

main wo kis tarah se karoon bayaan
jo kiye gaye hain sitam yahaan
sune kon meri ye daastan
koi hamnasheen hai na raazdaan
jo tha jhoot wo bana sach yahaan
nahi kholi maine magar zubaan
ye akela pan, ye udaasiyaan
meri zindagi ki hain tarjumaan

Meri Zaat Zarra-e-Benishan
Meri Zaat Zarra-e-Benishan

kabhi sooni subh main ghoomna
kabhi ujdi shaamon ko dekhna
kabhi bheegi aankhon se jaagna
kabhi beete lamhon ko sochna
magar aik pal hai umeed ka
hai mujhe Khuda ka jo aasra
na hi maine koi gila kiya
na hi maine di hain duhaaiyaan

Meri Zaat Zarra-e-Benishan
Meri Zaat Zarra-e-Benishan

main bataoun kya, mujhe kya mile?
mujhe sabr he ka sila mile
kisi aagahi ki rida mile
kisi dard hi ka sira mile
kisi gham ki dil me jagah mile
jo mera he wo mujhe aa mile
rahe shaad yoon hi mera jahaan
ke yaqeen me badle mera gumaan

Meri Zaat Zarra-e-Benishan
Meri Zaat Zarra-e-Benishan

Watch Rahat Fateh Ali Khan Meri Zaat Zarraebenishaan video
Hottest Lyrics with Videos
0e4e1c1eacbc25ae51daa30fa52c1661

check amazon for Meri Zaat Zarra-e-benishaan mp3 download
these lyrics are submitted by Khawaja Naveed Haider
these lyrics are last corrected by Shashi Kanth Sharma

Official lyrics by

Rate Meri Zaat Zarra-e-benishaan by Rahat Fateh Ali Khan (current rating: 7.02)
12345678910
Meaning to "Meri Zaat Zarra-e-benishaan" song lyrics
captcha
Characters count : / 50
Latest Posts