aaya aaya atariya pe koi chor - 3
o bhabhi aana zara dipak jalaana - 2
(dekho balam hain ya koi aur
dar gai main ke mar gai main
ke aaya aaya atariya pe koi chor) - 2
man uupar niche, khidaki ke pichhe, ankhiyon ke nichhe
baithi main sochuun saanvari, phir ka karuun main baavari
bairi balam ho to chup rahuun main -2
duuja koi ho macha duun main shor
aaya aaya
dhokha khaaya hai, ji ghabaraaya hai, koi aaya hai
nainon mein naina jab gae, aangan mein kangan baj gae
main naachi aise, kathaputali jaise
na jaane khenchi hai kisane dor
aaya aaya
sau matadaari, kaari kajaraari, sainya main haari
deta dikhaai kuchh nahin, chhup na gaya ho vo kahin
ghar mein chhipa to jaaega pakada - 2
man mein chhipa to phir kya hai zor
aaya aaya